brah.ma Logoपरिवर्तनं भव

...

Shree Durga Chalisa

0

Namo Namo Durge Sukh Karani, Namo Namo Ambe Dukh Harani.

Nirankaar Hai Jyoti Tumhari, Tihoun Lok Phaili Uujiyaari

Shashi Lalaat Mukh Maha Vishala, Netra Lal Bhrikoutee Vikaraala

Roop Maatu Ko Adhik Suhaave, Darshan Karata Jana Ati Sukh Paave

Tum Sansar Shakti Laya Keena, Palana Hetu Anna Dhan Deena

Annapoorna Hui Tu Jag Pala, Tumhi Aadi Sundari Bala

Pralayakala Sab Nashana Haari, Tum Gouri Shiv Shankar Pyari

Shiv Yogi Tumhre Gun Gaavein, Brahma Vishnu Tumhein Nit Dhyavein

Roop Saraswati Ka Tum Dhara, Day Subuddhi Rishi Munina Ubara

Dharyo Roop Narsimha Ko Amba, Pragat Bhayi Phaad Ke Khamba

Raksha Kari Prahlad Bachaayo, Hiranyaykush Ko Swarga Pathayo

Lakshmi Roop Dharo Jag Maahin, Shree Narayan Anga Samahin

Ksheer Sindhu Mein Karat Vilaasa, Daya Sindhu Deejey Man Aasa

Hingalaja Mein Tumhi Bhavani, Mahima Amit Na Jaat Bakhani

Matangi Aru Dhoomawati Mata, Bhuvaneshwari Bagala Sukhdata

Shree Bhairav Tara Jag Tarani, Chhinna Bhala Bhava Dukh Nivarini

Kehari Vahan Soha Bhavani, Laangur Veer Chalata Agavani

Kar Mein Khappar Khadaga Virajay, Jako Dekh Kaal Dar Bhajey

Sohe Astra Aur Trishula, Jase Uthata Shatru Hiya Shoola

Nagarkot Mein Toumhi Virajat, Tihoun Lok Mein Danka Baajat

ShumbhNishumbh Daanuv Tum Maare, Rakta Beej Shankhana Sanghaare

Mahishasur Nrip Ati Abhimaani, Jehi Agh Bhar Mahi Akulaani

Roop Karaal Kali ka Dhara, Sen Sahita Tum Tihin Samhara

Pari Gaarh Santana Par Jab Jab, Bhayi Sahay Matu Tum Tab Tab

Amarpuri Aru Baasab Lokaa, Tab Mahima Sab Rahey Ashoka

Jwala Mein Hai Jyoti Tumhari, Tumhein Sada Poojey Nar Nari

Prem Bhakti Se Jo Yash Gave, Dukh Daridra Nikat Nahin Aave

Dhyaave Tumhein Jo Nar Man Layi, Janma Maran Tako Chhouti Jaayi

Yogi Sur Muni Kahat Pukaari, Yog Na Hoye Bina Shakti Tumhari

Shankara Acharaj Tap Ati Keenho, Kaam Krodh Jeet Sab Leenho

Nishidin Dhyan Dharo Shankar Ko, Kaahu Kaal Nahin Soumiro Tumko

Shakti Roop Ko Maram Na Payo, Shakti Gayi Tab Man Pachitayo

Sharnagat Huyi Kirti Bakhaani, Jai Jai Jai Jagadambe Bhavani

Bhayi Prasanna Aadi Jagadamba, Dayi Shakti Nahin Keen Vilamba

Maukon Maatu Kashta Ati Ghero, Tum Bin Kaun Harey Dukh Mero

Asha Trishna Nipat Satavein, Moh Madaadik Sab VInashaavein

Shatru Nash Kijey Maharani, Soumiron Ikchit Tumhein Bhavani

Karo Kripa Hey Maatu Dayala, Riddhi Siddhi Dey Karahou Nihaala

Jab Lagi Jiyoun Daya Phal Paoun, Tumhro Yash Mein Sada Sounaoun

Durga Chalisa Jo Nar Gaavey, Sab Sukh Bhog Parampad Pavey

Devidas Sharan Nij Jaani, Karahoun Kripa Jagadambe Bhavani

॥ Doha ॥

Sharanaagat Rakshaa Kare, Bhakt Rahe Nishank ।

Main Aayaa Teri Sharan Me, Maatu Lijiye Ank ॥

॥ Iti Shree Durga Chalisa ॥

...

Built in Kashi for the World

ॐ सर्वे भवन्तु सुखिनः